Nafrato ki duniya hai,na pyar ka hai sayaa,
Yeha kaun aapna hai,kaun paraya.
Gam ki vadiyo mei bhula diya tha tumhi ne,
Jane phir aaj kyo teri yadoo ka mausam aaya.
Har pal mei pyar hai,har lamhe mei khushi hai,
Kho do to yaade hai, ji le to zindgi hai.
teri wafa,wafa hain
meri mohabbat kuch bhi nhi….
tera dard dard hua
kya mera zakham kuch bhi nhi….
tumhari baat patthar pe lakeer
kiya meri elteja kuch bhi nhi….
tujhme anaa samandar jaisi
kya mera maan kuch bhi nhi…..
tera gham gham hua
kiya mere aansoo kuch bhi nhi….
tera wajood sab kuch hain
aur kya meri hasti kuch bhi nhi….???
Titliyon ko pakarna us ki aadat thi..
Har ek se larna us ki aadat thi…
Woh jis ko tanhai se darr lagta tha,
Magar tanhai mein rehna us ki aadat thi…
Woh mere har jhoot se khush hoti
Jise hamesha sach bolne ki aadat thi…
Woh ek aanso bhi girne per khafa hoti thi…
Jise tanhai mein rone ki aadat thi..
Woh kehti thi ke mujhe bhool jayegi,
Jise meri har baat yaad rakhne ki aadat thi..
Hamesha maafi mangne ke gar se
Roz galtiyan kerna us ki aadat thi,
Woh jo dil o jaan nichaver kerti thi mujh per,
Magar choti si baat per ruthne us ki aadat thi….
Hum us ke saath chal diye yeh jante huwe bhi,
Raah mein har ek ko chor dena us ki aadat thi...
0 comments:
Post a Comment