Main majnu hu duniya jaanti he muje,
Meri nazar bhi aab nahi pahechanti muje.
Tumne dekha tha sirf ek baar hame,
Tune bana rakkha gunahgaar hame.
Teri nazaro se maara utha na gaya,
Roz dekhta hu khawab naya naya.
Humko jeena he tera he khawab kaun kare!
Nigaahe ferli ab to javaab kaun kare!
Khat likh likh ke thake he pyare chale gaye,
Aankho se dur dur sitaare chale gaye.
Jo chaman se milte the woh isaare chale gaye,
Ye kaise nind he gam ke nazare chale gaye.
Jis pe duniya wale wo samja nahi sakte,
Lagi he aag jo pani se buza nahi sakte.
Sirf dekhi he ek baar teri nazar,
Na jigar ki khabar na dil ki khabar.
Kasti ko keenara mil gaya,
Javaani ko sahara mil gaya.
Mil gaya jo chahte the man he man,
Wo dil ka pyar unko mil gaya...
0 comments:
Post a Comment