Log Kahete He Ki Dosti Ek Saza He,
Hamne Kaha Ke Hame Har Saza Manzur He.
Logo Ne Kaha Ye Dard Ke Saath Jee Nahi Paoge,
Hamne Kaha Aapki Dosti Ke Saath Marna Bhi Kabul He.
Waqt Dekhte Hi Dekhte Gujar Jata Hai
Kabhi Kabhi Hamein Unse Milata Hai
Milte Hai Wo To Hum Jee Bharkar Muskurate Hain
Lagate Hain Gale To Sab Kuch Bhool Jaate Hain
Dosti Shayad Zindagi Hoti Hai
Jo Har Dil Mein Basi Hoti Hai
Waise To Jee Lete Hain Sabhi Akele
Magar Phir Bhi Zarurat Iski Har Kisi Ko Hoti Hai…
Hamaari Galtiyo Ko Bhulate Rehna
Ki Zindagi Bhar Dosti Nibhte Rehna
Agar Hum Na Chal Sake Aapke Saath
To Aap Hi Kadam Se Kadam Milate Rehna…
Aapse Milne Ki Chahat Hamesha Rahegi
Aapko Bhoolkar Ye Zindagi Na Rahegi
Aapse Humari Dosti Tab Tak Rahegi
Jab Tak Ye Duniya Salamat Rahegi…
Keh Do Ke Tum Mere Dost Banoge
Dost Ban Ke Mere Sang-Sang Rahoge
Chahe Ho Jaye Tum Se Tumhari Jaan Bhi Juda
Per Tum Mere Sath Umar Bhar Rahoge…
Yeh Zindagi Bhi Kabhi Bewafa Si Lagti Hai
Khushi Milti Hai Phir Bicharti Hai
Doston Ki Dosti Kuch Aisa Asar Karti Hai
Usme Hi To Yeh Zindagi Sanwarti Hai
Aaj Ka Din Pyar Ki Saugat Ka Hai,
Janamdin Humari Dost Ka Hai,
Zindgi Ki Inayat Ki Hai Saalgirah,
Mere Hatho Me Tere Hath Ki Hai Salgirah,
In Aankho Me Aane Wale Khushi Ke Aansu Mere Hai,
In Hontho Pe Aane Wali Har Muskan Tumhari Hai
Jo Meri Taqdir Me Hai Vo Chhav Tumhari Hai,
In Tohfo Me Kya Hai Jab Meri Dosti Tumhare Liye Hai...
0 comments:
Post a Comment