Dosti Ek Misaal He Jaha Koi Sarhad Nahi Hoti,
Ye Wo Shaher He Jaha Imarate Nahi Hoti,
Yaha To Sab Raashte Ek Dusre Ke Dil Se Nikalte He,
Ye Wo Adalat He Jaha Koi Shikayat Nahi Hoti.
Ek alag si pehchaan banaane ki aadat hai humein,
Zakhm ho jitna gehra utna muskuraane ki aadat hai humein,
Sab kuch luta dete hai dosti mein,
Kyunki dosti nibhaane ki aadat hai humein.
Ek dost hai kaccha pakka sa,
Ek jhooth hai aadha saccha sa.
Zazbaat ko dhake ek parda bas,
Ek bahana hai accha sa.
Phool sukh jate hai ek waqt ke baad,
Log badal jate hai ek waqt ke baad,
Apni dosti bhi tutegi ek waqt ke baad,
Wo waqt ayega maut ke baad…!!
Doston ki dosti hume raas bahut aayi,
Yaaron ki masti hume yaad bahut aayi,
Zindagi Jab me pal aaya sabse bichadne ka,
Aankho se moti ban ashko ki bahar aayi.
Dosti to sirf ittifaq hai,
Yeh to dillon ki mulaqat hai..
Dosti nahi dekhti ye din hai ki raat hai,
Isme to sirf wafadari or jazbaat hai..!
Tum kehte ho ki apno me he shamil hoon main,
Par dil me kahin ab bhi mujhe pe vishvaas nahin.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi…
Dosti dard nahi khushiyo ki sogat hai
Kisi apne ka jindgi bhar ka sath hai
Ye to dilo ka wo khubsurat ahsas hai
Jiske dam se rosan ye sari kaynaat hai
Ae dost tere dosti ke liye duniya chod denge hum,
Teri taraf aaye har toofaan ko mod denge hum,
Lekeen tune jo saath choda hamara,
Kasam se tere bina mar jaayege hum.
0 comments:
Post a Comment