Showing posts with label Sad. Show all posts
Showing posts with label Sad. Show all posts
Gam Jab Tera Hadh Se Guzar Jataa Hai,
To Kagaz Par Syahi Bankar Bikhar Jataa Hai
kehte Hai Log Pyar Aisa Hi Hota Hai,
Jitna Milta Nahi Usse Zyada Kho Jata Hai
Bhool To Shaayad Bahut Badi Kar Li,
Dil Ne Duniya Se Dosti Kar Li,
Tum Mohabbat Ko Khel Samajthe Ho,
Magar Hum Tho Aapke Pyar Me Jee Li.
Mai Tere Saath Aur Kuch Lamhe Saath Chahti Thi,
Aankhon Me Jo Tham Gaye Woh Barsaat Chahti Thi,
Suna Hai Mujhe Bahut Chahta Hey Vo Magar,
Mai Uske Zabaan Se Ek Baar Izhaar Chahti Thi.
Chot Lagi Dil Pe Jab Woh Humse Kafa Hue,
Mehsoos Tab Hua Jab Woh Humse Juda Hue,
Wafa Nibha Ke Woh Hume Kuch De Na sake,
Par Bahut Kuch De Gae Jab Woh Bewafa Hue…
Sapno Ki Duniya Bhi Kitni Ajeeb Hoti Hain…
Juthi Hi Sahi Magar Har Khushi Naseeb Hoti H..
Beshak Aate Hain Sapne Kuch Hi Palo Ke Liye…
Par En Palo Mein Jannat Kitni Kareeb Hoti Hai.
Inkar ko ikrar kehte hai,
khamoshi ko izhar kehte hai,
kya dastur hai is duniya ka,
ek khubsurat sa dhoka hai.. jise log payar kehte hai.. !!
Dil ki jarurat har jaan ko hoti h.
taro ki jarurat har aasman ko hoti h…
hamari tamana hai salamat rahe aap..
kyuki ache dost ki jarurat har insan ko hoti h.
Tanhai ka ehsaas.. mujhe aaj ho raha hain,
Zindagi sitam kr rhi h or muje pyar ho rha h,
Labo pe unka nam or dil me ekraar ho rha h,
Aap kya jaano mere dil ka haal,
Mujhe pyar ho rha hai, muje pyar ho rha hai !!
Hatho ki lakiro par mat kishmat ka guman karna.. dost!!
Kyoki kishmat to unki bhi hoti h jinke hath nahi hote ….!!
Guzar gya wo jmana jab hm bhi pyar ki chaht rkhte the..
Badalte waqt or logo ko dekh kr hm ne apni khushiyo ko thukra diya.. !!
Dil Se Likhi Baate Dil ko Chhu jati hai,
Yeh aksar unkahi baat keh jati he,
kuch log dosti ke mayne badal dete hai,
Or kuch logo ki dosti se duniya hi badal jati hai..
Pyar karna itna aasan nahi hota,
Pyar ka bina rahna bhi itna aasan nahi hota,
Jo koi ek baar pyar DIL ko chhu jaye,
To use bhula dena bhi aasan nahi hota..
Thokar khakar gungunana zindgi hai,
Dard pikar muskurana zindgi hai,
safalta ke sath jiye to kya jiye..
haar kar jashsan manana hi zindgi hai.
Pal pal uska saath nibhatey rahein hum
Ek ishare par duniya chhor jaatey hum,
Samnder k beech me phuch kr fareb kiya usne
Wo kehta to kinare par hi doob jate hum
Marne wale toh ek din…
Bin bataye marr hi jate he Lekin..
Wo log toh roz marte hain,
Jo kisi ko khud se jyada chahte he..
Jakham bhi mere,Dard bhi mera,
Dil se likhe alfaaj bhi mere,
kesa hai mohabat ka khel, E
Mere khuda tune khela,
jis khel main mai hi reh gya akela…
Likhu Kuch Aaj Ye Waqt Ka Takaza Hai
DiL Ka Dard Abhi Taza Hai
Gir Padte Hai Aasu Mere Kagaz Par
lagta hai KaLam Mein Syahi Kum Ishq Jyada Hai….!!
Dil Se Roye Magar Hotho Se Muskura
Baithe, Yu Hi Hum Kisi Se Wafa
Nibha Baithe Wo Hame Jindgi Ek
Lamha Bhi, Na De Sake, Jinke
Liye Hum Apni Jindgi Gava Baithe.
Dard Se Hum Ab Khelna Seekh Gaye,
Hum Bawafai Ke Saath Jeena Seekh
Gaye, Kya Batayein Kis Kadar
Dil Toota Hai Mera, Maut Se Pehle,
Kafan Aud Ker Sona Seekh Gaye.
Kyu sochte ho ki kuch bhi acha nahi hota,
Such to ye h ki jaisa chaho vaisa nahi hota
Koi apka sath de na de par kabhi gum na karna
Khud se bada duniya me koi humsafar nai hota…
Din Hua Hain To Raat Bhi Hogi,
Ho Mat Udas Khabhi To Baat Hogi,
Itne Pyar Se Dosti Ki Hain Khudha Ki Kasam,
Zindagi Rahi To Mulakat Bhi Hogi.
Aaj ka din bahut hi khaas hain,
Behna ke liye kuch mere pas hai,
Tere sukoon ki khaatir o behna..
Tera bhaiya humesha tere sath hai
Apni to zindgi hi ajeeb kahani hay
jis chiz ko chaha woh begani hay
Hastay hain to sirf duniya kay liye,
Warna in ankhon main to sirf pani hi pani hay…
Tadapte woh hain jinn ko koi ehsaas ho,
Door kar ke dua karth hain, kaash woh mere paas ho,
Yeh judaai ke pal khud rote hai tumari yaad main,
Fariyaad karte hain dard ka bi koi insaaf ho.
Jo aansu dil me girte h wo ankho me nahi rehte..
Bahut se harf aise hain jo lafzo mein nahi rehte..
Kitabo mein likhe jate hai dunya bhar ke afsane..
Magar jin mein hakikat ho kitabo me nahi rehte..
Har Samandar Ka Ek Kinara Hota
Hai, Har Rat Ka Ek Savera
Hota Hai, Kyun Kar Raha Hai
Ye Julm Aye Rabba Kyun Har
Bewafa Ka Ek Diwana Hota Hai!
Milkar Kho Jana Mera Naseeb Tha,
Wah, Yeh Dard Bhi Kitna Ajeeb Tha,
Mila Nahi Use Ek Ghar Kahi,
Footpath Par Soya Naseeb Tha,
Ta-Umar Dhundta Raha Usko,
Raahon Mein Mera Woh Naseeb Tha,
Mushkil Se Paya Hai Raasta,
Ki Bheed Mein Chalna Ajeeb Tha,
Kaash Thahr Jaati Yeh Lehrein Eh Khuda,
Kyonki Milne Wala Mera Habeeb Tha,
Milkar Kho Jana Mera Naseeb Tha,
Wah, Yeh Dard Bhi Kuch Ajeeb Tha.
Maine Bhi Dil Ka Dard Bayan Kiya Hai,
Khusi Ka Har Lamha Tere Naam Kiya Hai,
Dekho Jara Yeh Mera Bigda Hua Mukaddar,
Kismat Ne Har Jagah Naakam Kiya Hai.
Aanshu Bahe To Ahesaas Hota He,
Dosto Ke Bina Jeevan Kitna Udaas Hota He,
Zindagi Aapki Rahe Sitaaro Jitni Lambi,
Aisa Dost To Kaha Kisi Ke Paas Hota He.
Kadmo Ke Faasle Se Dil Ki Duri Nahi Badhte,
Jab Door Ho Jaate He Tab Ehsaas Nahi Jaate,
Kuch Kadmo Ki Duri Hi Sahi He Hamaare Beech,
Lakin Koi Aisa Lamha Nahi Jinme Hamne Aapko Yaad Kiya Nahi.
Dosti ki kahani ab humari khatam ho gayi,
Khusiya aayi aakar jane kahan chali gayi,
Bada naaz tha hume apni dosti pe,
Par shayad kismat buri thi ya phir kisi ki najar lag gayi.
Milo ke faslo me bhi duri na ho,
Bat na ho, aisi majburi na ho,
Meri tamanna hai hum Dost rahein uamr bhar,
Ap bhi dua karna ki ye dua meri adhuri na ho!
Geet ki jarurat mehfil mein hoti hain,
Pyar ki jarurat dil mein hoti hain,
Bina dosti ke adhuri hai yeh zindagi,
Ke Dosti ki jarurat har pal mein hoti hai.
Dosti Ek Piyaz Ki Tarha Hy
Iska Ek Ek Parda Dosrey K
Sath Mohabbat Se Jura Hota Hy
Agar Isko Kaato Gay To Aanso
Ki Siwa kuch nahi milega.
Hasi nahi ruka karti dosti ke lafzo mein
Har raah nikhar jaati hai dosti ke kadmo mein
Behke huye saathi ki bhi ek si haalat hai
Koi nashe mein hai behka koi dosti ke jazbe mein.
Dosti hoti nahi bhool jaane ke liye,
Dost hote nahi bichhad jaane ke liye,
Dosti karke khush rahoge itna ki,
Waqt nahi milega aansu bahaane ke liye...
Socha na tha ki teri chahat me aisi thokar khayange,
Pyar ki duniya me saans lene se pehle hi mar jayenge.
Aab pata chala ki ishq ek khel hai,
Aur kitne dil yaha jite aur hare jayenge.
Chahta hu magar aasahan nahi tuje bhulana,
Teri yadoo ke sahare yuhi din beet jayange.
Beti ki mohabbat ko kabhi Aajmana nahi,
Beti phool ki tarah hai use kabi Rulana nahi,
Uski Aankhein kabhi Num naa Hone dena,
Zindagi se uski khushiya kam na Hone dena,
Ungli pakad ke kal jisko Chalaya tha tumne,
Phir Usko hi Doli mein Beethana hain tumhe,
Bahut Chota sa Safar Hota hai BETI k saath
kuch Waqt k Liye hoti hai Woh hamare Pass
Beti ki mohabbat ko kabhi Aajmana nahi,
Beti phool ki tarah hai use kabi Rulana nahi..
Ansu Aa Jatay hain Ankhoon me,
Pr Labon pr Hansi Lani Parti hai,
Ye Muhabbat bhi Kiya cheeze hai Yaro,
Aik Se Hoti Hai Hazaroon Se Chupani Parti hai…
Tere Naam Se Teri Zaat Se, Mere HumSafar kOi Gila Nahi
Jo Zakhm Mila Tere Hijr Se, Wo Phir Kabhi Sila Nahi
Barre Shauq Se, Barre ChaaO sE Main Ne Naam Tera Rakha Wafa
Mere Hum Nasheen Mere Hum Nawa, Tu Ne Ki magr Wafa Nhi
Teri Yaad Mein hOn Dar-Ba-Dar TuJhe Dhoondta Main Shehar Shehar
Kisi Or Ka Na Main Ho Ska, Jb Tu Hi Mujh Ko Mila Nahi
Kal Raat Meri Chand Se Baatein Teri hOti Raheen
Wo B Raat Bhar Jagta Raha, Main B Raat Bhar Soya Nahi.
Mujh Ko Kho Do Gey To Pachtao Gey Bahoot…..
Yeh Aakhri Ghalti Tum Khoob Soch Kar Karna...
Nafrato ki duniya hai,na pyar ka hai sayaa,
Yeha kaun aapna hai,kaun paraya.
Gam ki vadiyo mei bhula diya tha tumhi ne,
Jane phir aaj kyo teri yadoo ka mausam aaya.
Har pal mei pyar hai,har lamhe mei khushi hai,
Kho do to yaade hai, ji le to zindgi hai.
teri wafa,wafa hain
meri mohabbat kuch bhi nhi….
tera dard dard hua
kya mera zakham kuch bhi nhi….
tumhari baat patthar pe lakeer
kiya meri elteja kuch bhi nhi….
tujhme anaa samandar jaisi
kya mera maan kuch bhi nhi…..
tera gham gham hua
kiya mere aansoo kuch bhi nhi….
tera wajood sab kuch hain
aur kya meri hasti kuch bhi nhi….???
Titliyon ko pakarna us ki aadat thi..
Har ek se larna us ki aadat thi…
Woh jis ko tanhai se darr lagta tha,
Magar tanhai mein rehna us ki aadat thi…
Woh mere har jhoot se khush hoti
Jise hamesha sach bolne ki aadat thi…
Woh ek aanso bhi girne per khafa hoti thi…
Jise tanhai mein rone ki aadat thi..
Woh kehti thi ke mujhe bhool jayegi,
Jise meri har baat yaad rakhne ki aadat thi..
Hamesha maafi mangne ke gar se
Roz galtiyan kerna us ki aadat thi,
Woh jo dil o jaan nichaver kerti thi mujh per,
Magar choti si baat per ruthne us ki aadat thi….
Hum us ke saath chal diye yeh jante huwe bhi,
Raah mein har ek ko chor dena us ki aadat thi...
Tere milne ki aas na hoti,
Zindagi yu he aaj udaas na hoti,
Mil jati kabhi tasvir jo teri,
Humko teri aaj talaash na hoti.
unka rukh keh raha hai wo yaad nahi karenge,
Ummid keh rahi hai thoda aur intzar kar..
Hamne to had kar di unhe yaad karne me…..
Lekin…
Unhone bhi bhulne me kamal kar diya…..
Ho sake to bhar de apni nind meri aankh mein,
Main to teri yaad mein barso se soya he nahi….
Teri talab ki had ne hume aisa junoon baksha ke,
Hum khud ko bhool baithe tujhe yaad karte karte….
Aaj barish ka jo imkaan hai dil ye kehta hai,
yaad kar ke wo mujhe roya hoga kahin fir….
Tumhari yaad ki khushboo mere daman se lipti hai,
bada acha lagta hai tumhe he sochte rehna….
Raat Bhar Jagta Hoon Ek Aise Shakhs Ki Khatir,
Jisey Din K Ujaalay Mein Bhi Meri Yaad Nahi Aati….
Mujhe tujhse abhi bhi mohabbat hai magar na jane kyu…..
Ab is mohabbat main pahle jaisi shiddat na rahi….
Mujhe tu abhi bhi yaad aati hai magar na jane kyu….
Ab teri yaadon main sitaron se haal-e-dil kahne ki aadat na rahi….
Mujhe tera ab bhi intazaar rahta hai magar na jane kyu….
Ab tujhse Milne ki mujhko tadap na rahi….
Kitna badal gaya hu main lagta hai magar na jane kyu….
Ab is haal ko badalne ki khwaish hi na rahi...
Aaj ki bhag daud me pina bhi zaruri he,
Duniya me jab aaye he to jina bhi zaruri he.
Har nasha pite he log ye me manta hu,
Apna apna nasha he ye me janta hu.
Is hamari duniya me ye bhi ek majburi he,
Aaj ki bhag daud me pina bhi zaruri he.
Yaha kaanto ka raasta he phul khilte nahi,
Saitano ki duniya me fariste milte nahi.
Na itni nazdikiya he aur na itni duri he.
Aaj ki bhag daud me pina bhi zaruri he,
Duniya me jab aaye he to jina bhi zaruri he...
Mere Naseeb ki berahemi he, kisi se gila nahi,
Masoom si meri zindgi me phul woh khila nahi.
Ujaad gaya chaman jinka to uss baharo se kya milega,
Gam ke maaro ko mehfil se kya milega.
Ye udaasi ek din ka silsila to nahi he,
Ye woh zakhm he jo kabhi bhara nahi he.
Jo khud manzil ki talaash me he unse kya milega,
Gam ke maaro ko mehfil se kya milega.
Pyar Na Dil Se Hota Hai,
Na Dimaag Se Hota Hai,
Yeh Pyar To Ittefaq Se Hota Hai,
Per Pyar Karke Pyar Hi Mile,
Ye Ittefaq Kisi Kisi Ke Sath Hota Hai…
Rulane Se Pahale Ek Bar Hansaya To Hota,
Kasoor Kya Hai Is Dil Ka Bataya To Hota,
Mili Saza Us Khata Ki Jo Na Ki Kabhi Hamne,
Kash Yeh Dil Kabhi Kahin Lagaya Na Hota.!!
Tu hi bata a dil tujhe samjhau kaise,
Jise chahta hai tu use nazdik lau kaise,
Yu to har tamanna har ehsas hai wo mera,
Magar us ehsas ko ye ehsas dilau kaise
Kabhi Hum Tute Toh Kabhi Khwaab Tute
Na Jane Kitne Tukdo Mein Armaan Tute
Har Tukda Aaina Hai Zindgi Ka
Har Aaine Ke Saath Laakhon Jazbaat Tute
Pyar zindgi ko sajane ke liye hai,
zindgi dard badhane ke liye hai,
kash koi to padh pata meri udasi ko,
ye hasta hua chehra to sirf dikhane ke liye hai. .
Jeevan Main Zakhm Bade Nahi Hote Hain…
Unko Bharne Wale Bade Hote Hain…!!
Rishtey Bade Nahi Hote Hain…
Lekin Rishton Ko Nibhane Wale Bade Hote Hain...
Bewafaai ki dastan bewafa tere andar he thi,
Ek haath me phulo ki mala or dusre haath me khanjar tha.
Tum mere jeevan me aayi ye khuda ki marzi he,
Hum to bhul kar baithe ye mohabaat ki saza he.
Aapne jo julm kiya he wo jine ke kabil nahi he,
Tute huve jigar ko wo sine ke kabil nahi he.
Aapne jo dard diya wo jine ke kabil nahi he.
Tum to saathiya bankar humko barbaad kar baithe,
Meri maasom zindgi ko barbaad kar baithe.
Double role karna to koi aapse sikhe,
Patthar se dil lagana to koi tumse he sikhe.
Aapne jo sitam kiya he wo jine ke kabil nahi he,
Tute huve jigar ko wo sine ke kabil nahi he.
Aeisha mood aaya hai hamari Ishq ki kahani ka,
Wo sath nahi he magar uska saaya juda toh nahi,
Faishla to huva magar koi saja nahi,
Mujhse tum juda toh hue magar tum bewafa nahi,
Aasmaan se juda ho kar fikra kar rahi he zameen,
lekin zameen aasmaan se khafa toh nahi,
kashtiyaan tut gayi to kya huva hausle to buland hai,
keh do sahilo se, tum koi khuda toh nahi,
Hamare Pyar ki kahani ke panno ko waqt ne jala diya,
Par hamre jazabato ki kalam jali toh nahi,
khuda ne bhale hi kisi aur ka naam likh diya ho teri hatheli par,
Par tere labo se mera naam aaj bhi mita toh nahi,
Seh nahi saka toh chiragh-e-dil aaj hi jalaaye humne,
Mousam toh befawa hai, kaisi kal hawa chale koi jaanta toh nahi...
Yun hi anjane mein tujhse mulakaat si ho gayi,
Dosti karne chale aur tujhse chahat si ho gayi.
Tu na ho to main khud se hi ulajhte hoon,
Kya karu mujhe teri aadat si ho gayi.
Main apne wajood mein tujhe talaash karti hoon,
Mujhe tum se is qadar mohabbat si ho gayi.
Mere pass aao to jee loon do pal main bhi,
Meri to har ek saans teri amanat si ho gayi.
Main sochti thi tere aage zindagi kya hai,
Par tujhe chahney ke liye zindagi ki zaroori si ho gayi...
Palko me gir kar ke aanshu sikwa yeh kar rahe hai,
Tukde mere jigar ke khud aapne hi kar rahe hai.
Kis-kis ko batau ghayal jigar yeh aapna,
Masti bhare ye dusman mera dil jala rahe hai.
Aey mere dil ki tamanna tu kaha le jayengi,
Meri manzil maut hai es se aage na jayengi.
Wahan Tak Saath Chalte Hain, Jahan Tak Saath Mumkin Hai,
Jahan Halaat Badlenge, Wahan Tum Bhi Badal Jana.
Sharaab Pee Ke Jo Bhul Sakta To Roz Peeta Main,
Teri Yaad Mein Pal-Pal, Kyun Roz Marta Main,
Tere Bagair Zamane Mein Koi Aur Khushi Nahi,
Sahara Hota Jo Kisi Aur Ka, Roz Hansta Main,
Badalte Waqt Mein Khud Ko Main Badal Sakta Nahi,
Dil Apna Paas Hota To, Surat Roz Badalta Main,
Mumkin Nahi Tujhe Chaah Kar Bhi Ab Mil Sakun Main,
Hoti Agar Khwahish Puri Milne Ki, Dua Roz Karta Main,
Tujhe Chahta Hun Bata Aur Kitne Imtihan Dun Main,
Kyu Raaton Ko Tadapta Aur Zustzoo Roz Karta Main...
Ek Sapne Ki Tarah Tujhe Saja Ke Rakhun,
Chandni Raat Ki Nazron Se Chhupa Ke Rakhun..
Meri Taqdeer Mein Tumhara Saath Nahi,
Warna Saari Umar Tujhe Apna Bana Ke Rakhun …..!!
Main mohabbat hun mohabbat karke dekh
Main mohabbat na dun to kehnaa..!!
Main muskurahat hun mujhe hansa ker dekh
Na sajun tere honton per to kehna..!!
Khubsurat Sa Koi Pal Ek Kissa Banjata Hai,
Na Jaane Kab Koi Zindagi Ka Hissa Ban Jata Hai,
Zindagi Main Kuch Log Aise Bhi Milte Hai,
Jinse Kabhi Na Tutne Wala Rista Banjata Hai.
Kesay Kahon Main K Apna Bana Lo Mujhey,
Baahon Me Apni Tum Saama Lo Mujhey,
Bin Tumharey Ek Pal Bhi Ab Kat-ta Nahi Maera,
Bas Ab Tum Aa Ker Mujh Hi Se Chura Lo Mujhey,
Zindagi To Wo Hai Sang Tumharey Jo Guzrey,
Duniya K Ghamon Se Ab To Chura lo Mujhey,
Maeri Sab Se Gehri Khuwahish Ho Jaye Puri,
Tum Agar Aaj Pass Apnay Bula Lo Mujhey,
Ye Kaesa Nasha Hai jo Behka Raha Hai Mujhey,
Agar Tumharay Hain Hum To Sambhalo Mujhey,
Najanay Phir kesay Guzrey Gi Apni Ye Zindagani,
Agar Apnay Dil Se Kabhi Tum Jo Nikalo Mujhey.
chhoTii sii Galat fahamii kar degii judaa ham ko
haalaat na badalenge maaluum naa thaa ham ko
rishtonkii hamein itanii pahachaan na thii pahale
kahane ko maraasim to apane the bahut gehare
ashkonke sivaa lekin kuchh bhii na milaa ham ko
uThate hue qadamonmein zanjiir sii pa.D jaatii
ehasaas-e-nidaamat se dahaliiz par ga.D jaatii
ik baar muhabbat se dete jo sadaa ham ko
Kyun Bhool Gaye Humko,
Rishta To Purana Tha,
Ik Yeh Bhi Zamana Hai,
Ik Woh Bhi Zamana Tha,
Rangeen Fizayen Thin,
Aur Shokh Adayen Thin,
Jazbon Pe Jawani Thi,
Mosam Bhi Suhana Tha,
Seenay Se Lagaya Tha,
Ankhon Pe Bithaya Tha,
Maloom Na Tha,
Tumne Yun Choor K Jana Tha,
Kyun Hum Se Khafa Ho Tum,
Kyun Hum Se Juda Ho Tum,
Kia Jurm Hua Humse,
Itna Toh Batana Tha,
Kyun Bhool Gaye Humko,
Rishta toh Purana Thaa..
Kuch aisa huva vo mujko mili mei usko mila,
Izhaar hua ikrar hua, wo dost bani,mei yaar hua.
Usse mujse ishq huva,muje usse pyar hua,
Hum dono me takrar huye, phir kuch yu huva.
Vo muje chodd gayi,mai toot gaya,
Phir kuch yu mile, vo tanha thi,
Mai akela tha,Bus hum dono the or koi na tha.
Vo rone lagi mai baibus tha,
Bus farak sirf itna sa raha.
Vo mitti ke upar roti rahi thi or,
Me mitti ke andar sota raha…